Rauf Khair

wo KHush-suKHan to kisi pairwi se KHush na hua

Rauf Khair

Hyderabad, Telangana, India

1948
vo ḳhush-suḳhan to kisī pairvī se ḳhush na huā
mizāj-e-lakhnavī-o-dehlavī se ḳhush na huā
malāl ye hai ki āḳhir bichhaḌ gayā mujh se
vo ham-safar jo mirī ḳhush-ravī se ḳhush na huā
tujhe ḳhabar bhī hai kyā kyā ḳhayāl aatā hai
ki jī tire suḳhan multavī se ḳhush na huā
faqīr shaah nahīñ shāh-sāz hotā hai
ye ḳhush-nazar nigah-e-ḳhusravī se ḳhush na huā
saje hue haiñ abhī dil meñ ḳhvāhishāt ke but
ye somnāt kabhī ġhaznavī se ḳhush na huā
vo aadmī hai jo āb-e-hayāt kā pyāsā
sharāb-e-īsavī-o-mūsavī se ḳhush na huā
vo kam-suḳhan to mirā dushman-e-suḳhan niklā
ġhazal se ḳhush na huā masnavī se ḳhush na huā
usī ko aayā sar āñkhoñ pe baiThne kā hunar
jo apnī haisiyat-e-sānavī se ḳhush na huā
ra.uuf 'ḳhair' bhalā tum se kaise ḳhush hogā
vo maulvī jo kisī maulvī se ḳhush na huā
Top Urdushayar.com