Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

aaankhon mein murawwat teri ai yar kahan hai

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
ā.ankhoñ meñ muravvat tirī ai yaar kahāñ hai
pūchhā na kabhū mujh ko vo bīmār kahāñ hai
nau ḳhat to hazāroñ haiñ gulistān-e-jahāñ meñ
hai saaf to yuuñ tujh sā numūdār kahāñ hai
ārām mujhe sāya-e-tūbā meñ nahīñ hai
batlāo ki vo sāya-e-dīvār kahāñ hai
laao to lahū aaj piyūñ duḳhtar-e-raz kā
ai muhtasibo dekho vo murdār kahāñ hai
furqat meñ us abrū kī galā kāTūñgā apnā
myaañ diijo use dam mirī talvār kahāñ hai
jin se ki ho marbūt vahī tum ko hai maimūn
insān kī sohbat tumheñ darkār kahāñ hai
dekhūñ jo tujhe ḳhvāb meñ maiñ ai mah-e-kan.āñ
aisā to mirā tāla-e-bedār kahāñ hai
sunte hī us āvāz kī kuchh ho ga.ī vahshat
dekho to vo zanjīr kī jhankār kahāñ hai
din chhīne vo jab dekhiyo ġhārat-garī us kī
tab sochiyo ḳhurshīd kī dastār kahāñ hai
us din ke huuñ sadqe ki tū khīñche hue talvār
ye pūchhtā aave vo gunahgār kahāñ hai
hañste to ho tum mujh pe va-lekin koī din ko
ro.o.ge ki vo merā giraftār kahāñ hai
ai ġham mujhe yaañ ahl-e-ta.ayyush ne hai gherā
is bhiiḌ meñ tū ai mire ġham-ḳhvār kahāñ hai
jab tak ki vo jhāñke thā idhar mahr se ham to
vāqif hī na the mahr par anvār kahāñ hai
us mah ke sarakte hī ye andher hai 'ehsāñ'
ma.alūm nahīñ raḳhna-e-dīvār kahāñ hai
Top Urdushayar.com