Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

kuchh taur nahin bachne ka zinhaar hamara

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
kuchh taur nahīñ bachne kā zinhār hamārā
jī le hī ke jāvegā ye āzār hamārā
kūche se tire kuuch hai ai yaar hamārā
jī le hī chalī hasrat-e-dīdār hamārā
tū ham ko uThā lījiyo us vaqt ilāhī
jis vaqt uThe pahlū se dildār hamārā
yaarā hai kahāñ itnā ki is yaar ko yaaro
maiñ ye kahūñ ai yaar hai tū yaar hamārā
ham pādshah-e-mumlikat-e-ishq haiñ nāhaq
mansūr sā maarā gayā sardār hamārā
kah dījiyo mak.hūlī ko ai gardish-e-tāle.a
haañ jaldī se lā taḳht-e-havā-dār hamārā
abrū kī tirī bait kī kiyā baat va-lekin
hai aah kā misra bhī dhuāñ-dār hamārā
'ehsāñ' tū ġhazal fārsī hī apnī kahā kar
dil reḳhta tere se hai bezār hamārā
Top Urdushayar.com