mahfil ishq meñ jo yaar uThe aur baiThe
hai vo malka ki subuk-bār uThe aur baiThe
raqs meñ jab ki vo tarrār uThe aur baiThe
be-qarārī se ye bīmār uThe aur baiThe
kasrat-e-ḳhalq vo mahfil meñ hai terī ik shaḳhs
nahīñ mumkin hai ki yakbār uThe aur baiThe
sar uThāne kī bhī fursat nahīñ detā hai hameñ
chū habāb-e-sar-e-jū yaar uThe aur baiThe
ḳhauf-e-badnāmī se tujh paas na aa.e varna
ham ka.ī baar sun ai yaar uThe aur baiThe
dard kyuuñ baiThe biThā.e tire sar meñ uTThā
ki qalaq se tire sau baar uThe aur baiThe
terī dīvār to kyā gumbad-e-dvvār bhī yaar
chāhiye āh-e-sharar-bār uThe aur baiThe
aap kī majlis-e-ālī meñ alarraġhm raqīb
ba-ijāzat ye gunahgār uThe aur baiThe
aap se ab to is ahqar ko sarokār nahīñ
jis jagah chāhiye sarkār uThe aur baiThe
hazrat-e-dil sipar-e-dāġh-e-junūñ ko le kar
yuuñ bar-e-ishq jigar-ḳhvār uThe aur baiThe
chuuñ dilerāna koī muñh pe sipar ko le kar
sher-e-ḳhūñ-ḳhvār ko lalkār uThe aur baiThe
kafashdoz un ke jab apne hī barābar baiTheñ
aisī majlis meñ to paizār uThe aur baiThe
zāhid aayā to gavārā nahīñ rindoñ ham ko
apnī is bazm meñ makkār uThe aur baiThe
donoñ kānoñ ko pakaḌ kar yahī hai us kī sazā
kah do sau baar ye ayyār uThe aur baiThe
baiThte uThte isī tarah ke likh aur ġhazal
jis meñ 'ehsāñ' ho na paikār uThe aur baiThe