tiir pahlū meñ nahīñ ai rufaqā-e-parvāz
tā.ir-e-jān ke ye par haiñ barā.e parvāz
yuuñ to par-band huuñ par yaar paroñ par mere
jo girah terī hai so uqda-kushā-e-parvāz
ek parvāz kī tāqat nahīñ us jā se mujhe
aur jo hukm ho sayyād sivā.e parvāz
dekhiyo naama na laayā ho kabūtar is kā
kuchh mire kaan meñ aatī hai sadā-e-parvāz
be-par-o-bālī pe ġhash huuñ ki ye har dam hai rafīq
thī par-o-bāl hī tak ham se vafā-e-parvāz
apne nazdīk to is daam meñ phañs kar sayyād
kisī kam-baḳht ko hovegā havā-e-parvāz
to bhī us tak hai rasā.ī mujhe 'ehsāñ' dushvār
daam luuñ gar par-e-jibrīl barā-e-parvāz