ḳhafā mat ho mujh ko Thikāne bahut haiñ
mirā sar rahe āstāne bahut haiñ
bahut duur hai apne nazdīk tū bhī
tujhe yaad kāfir bahāne bahut haiñ
bahāne na kar mujh se ai chashm-e-giryāñ
abhī ashk mujh ko bahāne bahut haiñ
mire chashm-o-dil aur jigar sab haiñ hāzir
tū ḳhātir-nishāñ rakh nishāne bahut haiñ
kashish dil kī hī kaam kartī hai varna
fusūñ saiñkaḌoñ haiñ fasāne bahut haiñ
junūñ naqd-e-dāġh-e-jigar māñgtā hai
ye kah do ki ab to ḳhazāne bahut haiñ
bahut kam hai sach is zamāne meñ 'ehsāñ'
yahāñ jhuuT ke kār-ḳhāne bahut haiñ