ġhair ke dil pe tū ai yaar ye kyā bāñdhe hai
hai vo ik bād-farosh aur havā bāñdhe hai
bul-havas jāma-e-uryānī-e-ushshāq ko dekh
tū garebān se kyuuñ apnā galā bāñdhe hai
yuuñ sharar chhiḌtī haiñ jaise ki havā.ī hai chhuTī
ik samāñ aah mirī tā-ba-samā bāñdhe hai
dil-e-sar-gashta bhī to ek balā meñ hai phañsā
kabhī kholī hai kabhū zulf-e-dotā bāñdhe hai
ye to tujh se na huā aave shab-e-tār meñ yaar
taar shikvoñ hī kā tū sub.h-o-masā bāñdhe hai
dekh kar toḌā gale kā koī dil detā hai
muñDcharā-pan se tū kyuuñ apnā galā bāñdhe hai
bevafā māñda kī rakkhī to na tujh paas rahūñ
kyā karūñ paañv mirā dast-e-vafā bāñdhe hai
nāf-e-āhū meñ na kis tarah se jā kar vo chhupe
mushk kī mushkīñ tirī zulf-e-rasā bāñdhe hai
ek jhagaḌālū kī duḳhtar pe huā hai āshiq
dil mirā jaan ke jhagḌe kī binā bāñdhe hai
jab jafā se tirī hotā huuñ ḳhafā ġhusse se
TukTukī merī taraf mehr-e-vafā bāñdhe hai
jab kahā maiñ ne ki juuḌe ko mirī jaan tū bāñdh
band mahram ke maiñ bāñdhūñgā tū kyā bāñdhe hai
khol kar bāloñ ko āshufta-o-barham ho kar
tere kahne se kahā merī balā bāñdhe hai
sahl ye taur hai 'ehsāñ' ġhazal ik aur bhī likh
hai khulā sab pe tū mazmūn bañdhā bāñdhe hai