pūchhī na ḳhabar kabhī hamārī
lī ḳhuub ḳhabar ajī hamārī
ham lā.eq-e-bandagī nahīñ to
bas ḳhair hai bandagī hamārī
ai dīda-e-nam na tham tū hargiz
hai is meñ hī behtarī hamārī
yaañ terī kamar hī jab na dekheñ
phir hech hai zindagī hamārī
ham jaan chuke ki jaan ke saath
jāvegī ye jāñkanī hamārī
chalne kā liyā jo naam tū ne
bas jaan abhī chalī hamārī
bigḌe ho bhale bhī baat kahte
qismat hī burī banī hamārī
us zulf ke silsile meñ haiñ ham
hai umr bahut baḌī hamārī
kyūñkar na kaTī zabāñ tumhārī
haañ aur karo badī hamārī
kahte haiñ palaT gayā vo rah se
taqdīr ulaT ga.ī hamārī
ab hañste haiñ ham pe log varna
mash.hūr thī yaañ hañsī hamārī
ham haTte haiñ mulk-e-ishq se kab
heTī kisī ne kahī hamārī
kyā kaam kisī se ham ko 'ehsān'
ham aur ye be-kasī hamārī