Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

yunhi kufr har subh har sham hoga

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
yūñhī kufr har sub.h har shaam hogā
ilāhī kabhū yaañ bhī islām hogā
kahīñ kaam meñ vo to ḳhud-kām hogā
yahāñ kaam āḳhir hai vaañ kaam hogā
yahī dil agar hai yahī be-qarārī
tah-e-ḳhāk bhī ḳhaak ārām hogā
sanam tiin pāñch aap kā chaar din hai
sadā ek allāh kā naam hogā
ye mizhgāñ vo haiñ jin kī kāvish se ik din
mushabbak jigar misl-e-bādām hogā
buto jab ki āġhāz-e-ulfat hai ye kuchh
ḳhudā jaane kyā is kā anjām hogā
duā ke evaz gāliyāñ aur to kyā
ināyāt yahī mujh ko in.aam hogā
ye do ik balā haiñ giraftār un kā
koī sub.h hogā koī shaam hogā
yahī sub.h aur shaam tak gar amal hai
amal terī zulfoñ kā tā-shām hogā
maiñ vo nā-tavāñ huuñ agar zab.h kiije
na ik naala mujh se sar-anjām hogā
jū bismil tū kartā hai bismillāh ai shoḳh
tire kaam meñ merā bhī kaam hogā
mirī lag rahīñ chhat se āñkheñ haiñ dekho
musharraf kab is se lab-e-bām hogā
kabhū tū bhī hogā musalmān ai but
sadā terā jhūTā hī paiġhām hogā
shikār-e-ajal hoñge ik roz ham sab
hamesha na rustam na yaañ saam hogā
kahāñ hai vo said-afganī gor meñ aah
ḳhudā jaane kyā hāl-e-bahrām hogā
na sun merī 'ehsā۔n' mubārak tujhe ishq
mujhe kyā tirā naam badnām hogā
Top Urdushayar.com