bas ḳhāk-e-qadam dījiye takrār bahut kī
miTTī mirī is ḳhaak ne hī ḳhvār bahut kī
chaiḌ mujh ko tujhe riijh ke takrār bahut kī
ḳhush rah ki ḳhushāmad tirī ai yaar bahut kī
hargiz na ga.ī pesh na aayā mah-e-be-mehr
har chand ki zaarī pas-e-dīvār bahut kī
laa.ī kashish-e-dil hī tumheñ tum ne to varna
yahāñ aane meñ ik umr talak aar bahut kī
us chashm ne dekhā dil-e-bīmār ko mere
bīmār ne kal ḳhātir-e-bīmār bahut kī
abrū kī tasavvur meñ huā qatl mirā dil
phal kyuuñ na mile mard thā talvār bahut kī
ushshāq meñ maiñ hī hadaf-e-tīr huuñ us kā
azmat hī yahī ḳhidmat-e-sarkār bahut kī
is tarah kā be-dīd to ġham hogā jahāñ meñ
kī ham ne bhī hai diid trahdār bahut kī
sūrat tirī aage hī bhabūkā thī va-lekin
zulfoñ ke bikharne ne dhuāñdhār bahut kī
yahāñ aaTh pahar jins se vafā ham ne dikhā.ī
dekhā na ḳharīdār to nā-chār bahut kī
yārab na rahe naam judā.ī ki rah-e-ishq
āsān thī par us ne hī dushvār bahut kī
ma.alūm koī din ko tujhe hogī haqīqat
kam us tire iqrār kī inkār bahut kī
har chand ki ḳhat se bhī dhuāñ-shakl hai ai mah
par ḳhat kī na rakhne ne numūdār bahut kī
ghar meñ na tire kuud sakā rāt-ga.e maiñ
haañ apnī sī tadbīr to ai yaar bahut kī
bahbūd ke āsār na dekhe kabhū hargiz
jis shaḳhs ne ūñchī tirī dīvār bahut kī
kam ham sā ḳharīdār baham pahuñchegā us ko
kyuuñ ishq ne jins-e-ġham-e-bisyār bahut kī
bolā sar-e-mansūr sar-e-dār pe 'ehsā۔n'
haq hai ki sazā-vār the pindār bahut kī