dosh-ba-dosh dosh thā mujh se but-e-karishma-kosh
parda dar ḳhiyām-e-aql-e-raḳhna-gar harīm-e-hosh
ġhāza ba-rū misī ba-lab paan ba-dahan hinā ba-kaf
silk-e-durr-e-adan basar turra-e-ambarīñ ba-dosh
pal meñ marīz vo kare dam meñ shifā ye de mujhe
aah vo chashm-e-mai-parast vaah vo lāl-e-bāda-nosh
mā.il-e-aish jaan kar jāhil bevafā kahe
sā.il-e-bosa jabki huuñ chupke kahe ki chup ḳhamosh
ishq meñ sab hai behtarī dekh ba-chashm ghaḌī
rashk-e-qamar hai mushtarī-e-dīda-gah-e-farosh
munkir-e-mai thā shaiḳh kal aaj ye haal hai ki hai
jām-ba-dast-o-ḳhum-ba-sar shīsha-ba-lab-o-ba-dosh
naġhma-sarā ho 'muhsinā' taaki vo baaġh baaġh baaġh
sausan-e-sad-zabān ho gul kī tarah tamām gosh