Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

dilbar ye wo hai jis ne dil ko dagha diya hai

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
dilbar ye vo hai jis ne dil ko daġhā diyā hai
ai chashm dekh tujh ko maiñ ne sujhā diyā hai
teġh-e-sitam se merā jo ḳhūñ-bahā diyā hai
qātil ne mere dil kā ye ḳhūñ-bahā diyā hai
naqsh qadam galī kā terī banā diyā hai
kyuuñ kar uThūñ ki dil ne mujh ko biThā diyā hai
ai chashm gar ye zā hai rone ko tere zahmat
ro ro ke abr ko bhī tū ne rulā diyā hai
sar-rishta-e-vafā se kyā sham.a-rū haiñ vāqif
ham ne patañg un se milnā uḌā diyā hai
dil de ke jaan kā muft ik rog hī ḳharīdā
daulat se terī maiñ ne ye kuchh liyā diyā hai
jaate nazar jidhar hī ik nuur jalva-gar hai
mukhḌe se aaj parda kisī ne uThā diyā hai
tū paan khā ke hañsnā ik sahal sā hai samjhā
ye barq vo hai jis ne aalam jalā diyā hai
kyuuñ ham se ho bigaḌte ham ne to shaiḳh sāhab
holī se peshtar hī tum ko banā diyā hai
kyuuñ kar na mere dil kā shīsha ho TukḌe TukḌe
nazroñ se is ko zālim tū ne girā diyā hai
paañv se kyā jagāyā tū ne hī mujh ko goyā
Thokar se baḳht-e-ḳhufta merā jagā diyā hai
kyā jānūñ ishq kyā hai lekin kisī ne 'ehsāñ'
ik aag kā sā sho.ala dil ko lagā diyā hai
Top Urdushayar.com