Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

bagh mein jab ki wo dil KHun-kun-e-har-gul pahunche

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
baaġh meñ jab ki vo dil ḳhūñ-kun-e-har-gul pahuñche
bilbilātī huī gulzār meñ bulbul pahuñche
sadma-e-shām-e-ajal mujh ko na bilkul pahuñche
gar mirī daad ko kal tak bhī vo kākul pahuñche
dil bhī le kar alam-e-āh muqābil pahuñchā
neza-bāzān-e-mizha jab ba-taġhāful pahuñche
mehr kūcha tirā jhāḌe hai ba-jārūb-e-shuā
ki isī tarah baham tujh se tavassul pahuñche
apnā ye muñh to na thā aap talak ham pahuñcheñ
aap kā jab ki huā ham pe tafazzul pahuñche
ham-rah-e-yās-o-alam dasht-e-junūñ meñ kal ham
ba-tahammul ba-ta.ammul ba-tajammul pahuñche
gar tire vazn pe maiñ saare qavāfī bāñdhūñ
dam tirā naak meñ ai bāb-e-tafavvul pahuñche
ḳhāna-ābād tumhārā ho ki ham hazrat-e-ishq
naf.a ko tum se ba-ayyām-e-tavakkul pahuñche
dard-o-ġham yās-o-alam soz-e-dil o dāġh-e-jigar
tohfe jo aap ne bheje hameñ bilkul pahuñche
jab gayā husn to aayā tire iḳhlās kā baar
ab taraqqī hai tab ayyām-e-tanazzul pahuñche
qahr ik riñd pe qul pīr-e-muġhāñ ne thā paḌhā
sher ye ham ne sunā sunñe ko jab qul pahuñche
tars-e-uqbā hai to mai-ḳhāna meñ rah ai zāhid
tab bacho vaañ jo bajā kaan meñ qulqul pahuñche
rashk-e-gul baaġh meñ baiThā thā to ham bhī 'ehsāñ'
ye ġhazal paḌhte hue vaañ ba-tajāhul pahuñche
Top Urdushayar.com