Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

fasurda dagh-e-jigar dil-ruba nahin rahta

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
fasurda dāġh-e-jigar dil-rubā nahīñ rahtā
charāġh ishq kā hargiz bujhā nahīñ rahtā
baġhal meñ rashk se dil dil-rubā nahīñ rahtā
ḳhafā hai ye ki tū mujh se ḳhafā nahīñ rahtā
hamesha husn sun ai bevafā nahīñ rahtā
kabhī zamāna sadā ek sā nahīñ rahtā
bujhī jo sham.a to parvānoñ pe huā raushan
ki ba.ad-e-marg koī āshnā nahīñ rahtā
kahāñ vo girya vo naala vo jāñ-ba-lab rahnā
kisī kā kaam hamesha banā nahīñ rahtā
ḳhudā-na-ḳhāsta tum to sanam nahīñ aise
tumhāre dil meñ to kiina sadā nahīñ rahtā
kahā jo maiñ ne ki ai rashk-e-māh ghar meñ mire
tū mehrbānī se kyuuñ ik zarā nahīñ rahtā
lagā ye kahne ki haañ haañ hai ye bhī apnā shauq
nahīñ nahīñ nahīñ rahtā huuñ jā nahīñ rahtā
jo mujh ko kahiye maiñ āñkhoñ se zabt-e-girya karūñ
mirā qusūr nahīñ dil mirā nahīñ rahtā
yahāñ mujhe hī nasīhat ko haiñ sabhī maujūd
vahāñ to hosh kisī kā bajā nahīñ rahtā
ye dāġh-e-ishq hai kyūñ-kar na gul khile is kā
hazār is ko chhupāo chhupā nahīñ rahtā
jo dil liyā hai to bosa bhī do samajh rakkho
ki bad-mo.āmlagī meñ mazā nahīñ rahtā
lagā.ī taak hai kyuuñ mohtasib ne tujh pe dilā
agar tū duḳhtar-e-raz se bhalā nahīñ rahtā
na khīñch teġh tū 'ehsān' nā-tavān pe aah
miyāñ ye zor kisī kā sadā nahīñ rahtā
Top Urdushayar.com