Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

gali se teri jo ki ai jaan nikla

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
galī se tirī jo ki ai jaan niklā
garebāñ se dast-o-garebān niklā
tirī aan pe ġhash huuñ har aan zālim
to ik aan lekin na yaañ aan niklā
yahī mujh ko rah rah ke aatā hai armāñ
ki tujh se na kuchh merā armān niklā
mirī āh-e-ātish-fishāñ dekhtī hai
liye ghar se har aan qur.ān niklā
mirī jaan shart-e-rifāqat nahīñ ye
nikal jaan tū bhī ki paikān niklā
kiyā maiñ ne mujrā to jhuñjhlā ke bolā
kahāñ kā mirā jaan pahchān niklā
ajab be-bahā hai mirā ashk yaaro
ye kam-baḳht laḌkā to tūfān niklā
mujhe shaiḳh ulfat se maan.e hai 'ehsāñ'
valī jis ko samjhā thā shaitān niklā
Top Urdushayar.com