zaat us kī koī ajab shai hai
jis se sab vāqa.ī ajab shai hai
vāqa.ī āshiqī ajab shai hai
āshiqī vāqa.ī ajab shai hai
jis ke dil ko lagī vahī jaane
jān-e-man dil-lagī ajab shai hai
is meñ hargiz nahīñ hai jā-e-suḳhan
al-ġharaz ḳhāmushī ajab shai hai
be-ḳhudī gar ho ḳhud to aa ke mile
ai ḳhudā be-ḳhudī ajab shai hai
us pe martā huuñ vaqt-e-bos-o-kanār
terā kahnā na jī ajab shai hai
ek se tiis din nibāh ki dost
ek se dostī ajab shai hai
muñh pe kah denā aib aib hai ye
aib-poshī ajī ajab shai hai
kyā dhuāñ-dār shola-rū hai banā
uudī poshāk bhī ajab shai hai
aarsī us se ahl-e-dīd ko hai
mat kaho aarsī ajab shai hai
sarv ko us ke qad se kyā nisbat
munsifo rāstī ajab shai hai
qibla-o-ka.aba is ko samjhe hai
haram-e-shaiḳh-jī ajab shai hai
ek bosa na do na tiin na chaar
yaar jī munsifī ajab shai hai
hoñT hote haiñ vaqt-e-ḳhanda judā
chup bhalī ḳhāmushī ajab shai hai