Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

myan kya ho gar abru-e-KHamdar ko dekha

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
myaañ kyā ho gar abru-e-ḳhamdār ko dekhā
kyuuñ merī taraf dekh ke talvār ko dekhā
āñkheñ mirī phūTeñ tirī ā.ankhoñ ke baġhair aah
gar maiñ ne kabhī nargis-e-bīmār ko dekhā
dekhe na mire ashk-e-musalsal kabhī tum ne
apnī hī sadā motiyoñ ke haar ko dekhā
itvār ko aanā tirā ma.alūm ki ik umr
be-pīr tire ham ne hī atvār ko dekhā
dekhā na kabhū kūcha-e-dildār ko rañgīñ
bas ham ne bhī is dīda-e-ḳhūñ-bār ko dekhā
us meñ bhī dar-andāzoñ ne sau raḳhne nikāle
'ehsāñ' ne jo us raḳhna-e-dīvār ko dekhā
Top Urdushayar.com