dil diyā tab ki bahut zulf-e-rasā ne chāhā
aap farmāte haiñ yuuñ us kī balā ne chāhā
tā-dam-e-marg na hoñ tujh se mirī jaan judā
maiñ ne chāhā thā va-lekin na ḳhudā ne chāhā
chal base dekhte hī chaal adā kī ham to
ho ve qissa hī adā terī adā ne chāhā
ghar se kis tarah se yuuñ hazrat-e-mun.im nikleñ
dī na buubū ne ijāzat na divāne chāhā
ho ke yak-dast tire aur hī ai yār-e-numūd
jab tujhe ham se kisī be-sar-o-pā ne chāhā
marte marte bhī na yak-bār tujhe dekh liyā
is qadar bhī na mirī jaan qazā ne chāhā
koī apnā na huā silsila-jumbān-e-junūñ
ek fil-jumla usī zulf-e-dotā ne chāhā
jis tarah chāho satāo mujhe har roz buto
us kā ik raat evaz lūñgā ḳhudā ne chāhā
nām-e-anqā se bhī nañg aatā hai 'ehsān' mujhe
shohra-e-nām ko kyuuñ ahl-e-fanā ne chāhā