chuTkiyāñ lī hī ki uTh baiTh jo mar jaa.e koī
ai sitamgar tire hāthoñ se kidhar jaa.e koī
kyuuñ kī guzregī na guzroge jo tum yaar idhar
pas ye marzī hai ki bas jaise guzar jaa.e koī
mire marne se tirā shohra huā yā qismat
ki bigaḌ jaa.e koī aur sañvar jaa.e koī
ek dam kā bhī bharosā nahīñ mānind-e-hayāt
bahr-e-hastī meñ habāb aa ke ubhar jaa.e koī
sham.a saañ sar na kaTe us kā ye imkān nahīñ
bazm-e-ḳhūbāñ meñ jo bā-dīda-e-tar jaa.e koī
dil mirā tum ne churāyā mujhe ulTī hai ye fikr
na ḳhabar paa.e koī tā na biphar jaa.e koī
aap ke ahd meñ ye rasm hai dekhī ham ne
ki gunahgār koī aur ho Dar jaa.e koī
ghar se niklo ki hameñ ghar kī na kuchh yaad rahe
ghar meñ baiThe hue kahtī ho na ghar jaa.e koī
yuuñ to samjhe sune aatī nahīñ 'ehsā۔n' ko samajh
kyā tamāshā ho ki dil le ke mukar jaa.e koī