Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

nahin sunta nahin aata nahin bas mera chalta hai

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
nahīñ suntā nahīñ aatā nahīñ bas merā chaltā hai
nikal ai jaan tū hī vo nahīñ ghar se nikaltā hai
jalā huuñ ātish-e-furqat se maiñ ai sho.ala-rū yaañ tak
charāġh-e-ḳhāna mujh ko dekh kar har shaam jaltā hai
nahīñ ye ashk-o-laḳht-e-dil tirī ulfat kī daulat se
mirā ye diida har dam la.al aur gauhar ugaltā hai
kisī kā saath sonā yaad aatā hai to rotā huuñ
mire ashkoñ kī shiddat se sadā gul-takiya galtā hai
milātā huuñ agar āñkheñ to vo dil ko churātā hai
jo maiñ dil ko talab kartā huuñ vo āñkheñ badaltā hai
mire pahlū-o-sīna meñ butoñ ke rah ga.e ḳhanjar
ḳhudā kā fazl jis par ho to vo is tarah bahaltā hai
sadā hī merī qismat juuñ sadā-e-halqa-e-dar hai
agar maiñ ghar meñ jaatā huuñ to vo bāhar nikaltā hai
vo bahr-e-husn shāyad baaġh meñ āvegā ai 'ehsā۔n'
ki favvāra ḳhushī se aaj do do gaz uchhaltā hai
Top Urdushayar.com