Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

tu aaj aaina-ru mujh pas aa ja

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

Delhi, India

1769-1851
tū aaj ā.īna-rū mujh paas aa jā
bahar-sūrat mujhe sūrat dikhā jā
tū aa ai ātish-e-barq-e-ġham-e-yār
mirā ye ḳhirman-e-hastī jalā jā
mirī aatī hai bas niiñd aa.e to aap
ye apnī chashm-poshī dekhtā jā
mirī jaarī haiñ aañsū aah qāsid
shitābī kah ye us ko mājrā jā
likhā maiñ ne ye us yūsuf ko kal ḳhat
aziiā dilbarā nāzuk-mizājā
rakhī hai chaah terī aah betāb
qalaq is mere dil kā tū miTā jā
ḳhudā hī hai mirī kashtī kā hāfiz
ḳhudā ke vāste tū nāḳhudā jā
na sunvā ġhair kī bāteñ sun ai yaar
tire jo jī meñ aave tū sunā jā
vahī hai jā-ba-jā bejā nahīñ ye
bajā hai us kī hī har ek jā-jā
agar jaatā hai ai mere masīhā
ilaaj is dard-e-dil kā tū batā jā
mirī siina pe rakh dast-e-nigārīñ
mirī ye aag dil kī tū bujhā jā
agar baiThā hai nāseh muñh ko sī baiTh
vagarna yaañ se uTh ai be-hayā jā
tirī naubat hī 'ehsāñ' koī din yaañ
tū Dañkā ishq kā har jā bajā jā
Top Urdushayar.com