phir aayā jām-ba-kaf gul-ezār ai vaa.iz
shikast-e-tauba kī phir hai bahār ai vaa.iz
na jaan mujh ko tū muḳhtār saḳht huuñ majbūr
nahīñ hai dil pe mirā iḳhtiyār ai vaa.iz
anār-e-ḳhuld ko tū rakh ke haiñ pasand hameñ
kucheñ vo yaar kī rashk-e-anār ai vaa.iz
usī kī kākul pur-pech kī qasam hai mujhe
ki tere va.az haiñ sab pechdār ai vaa.iz
hamāre dard ko kyā jaane tū ki tujh ko hai
na dard-e-yār na dard-e-dayār ai vaa.iz
kiyā jo zikr-e-qayāmat ye kyā qayāmat kī
ki yaad aayā mujhe qad-e-yār ai vaa.iz
bhulā.egā na kabhī yād-e-gul-ruḳhāñ 'ehsāñ'
koī vo samjhe hai samjhā hazār ai vaa.iz