tumhārī chashm ne mujh sā na paayā
diyā surma bhī aur chipkā na paayā
ḳhudā ko kyā kahūñ paayā na paayā
ki vasl-e-be-ḳhudī aslā na paayā
bahut sūrat ko maiñ tarsā na paayā
na paayā vo bahut tarsā na paayā
sahāb-e-tar ne bahr-e-ḳhushk sab ne
hamārā dīda-e-tar sā na paayā
chale ham dil jale is bazm se yaar
jale hāthoñ se ik beḌā na paayā
sadā sūraj ne din bhar us ko DhūñDā
kabhī vo chāñd kā TukḌā na paayā
bahut achchhā huā achchhī hai qismat
marīz-e-ishq ko achchhā na paayā
jo is gardan kā naqsha hai vo ham ne
surāhī-dār motī kā na paayā
durr-e-ashk-e-musalsal ai shah-e-ishq
tirī daulat se ye sehrā na paayā
bahut sīdhā banā.ūñgā falak ko
ki is kaj ko kabhī sīdhā na paayā