dil to hāzir hai agar kījiye phir naaz se ramz
haiñ tire naaz ke sadqe isī andāz se ramz
ramz-o-īmā-o-kinā.e tujhe sab yaad haiñ yaar
ham to bhūle haiñ ġham-e-ġhamza-e-ġhammāz se ramz
apnī nā-fahmī se maiñ aur na kuchh kar baiThūñ
is tarah se tumheñ jaa.ez nahīñ e.ajāz se ramz
dil ko tū sahj meñ levegā ye maiñ jaan chukā
yahī niklī haiñ tirī sahj kī āvāz se ramz
ham ji.eñ yā ki mareñ kuchh nahīñ ġham shauq se aap
masnad-e-nāz pe farmā.iye e.azāz se ramz
maiñ isī dam tirī tarvār se kāTūñgā galā
teġh dikhlā ke miyāñ āshiq-e-jāñ-bāz se ramz
baaz jaddam se dar-e-adl-e-shah-e-ālam hai
bachcha-e-qāz bhī kartā hai yahāñ baaz se ramz
kyā ta.ajjub hai agar murda-e-sad-sāla ji.eñ
kam nahīñ mere masīhā ke bhī e.ajāz se ramz
hai tujhe ḳhāna-ḳharābī hī agar madd-e-nazar
kījiyo ai falak us ḳhāna-bar-andāz se ramz
ramz-e-'ehsāñ' se hai ya.anī ki ġhazal aur bhī paḌh
siikh jaa.e koī us chashm-e-fusūñ-sāz se ramz