maiñ ne tujh ko khoyā thā maiñ ne tujh ko paayā hai
vo bhī ek dhoka thā ye bhī ek dhoka hai
baiThe shīsh-mahloñ meñ tum samajh na pāoge
ḳhaar kaise paañv meñ dard ban ke chubhtā hai
duur ho nigāhoñ se paas ho rag-e-jāñ ke
dil kā dil se rishta hai is meñ mo.ajiza kyā hai
asl zindagī hai kyā kyā khule ki tum ne to
saañs kī kasauTī par zindagī ko parkhā hai
ḳhuun ārzūoñ kā ghul gayā na ho 'sharqī'
sub.h-e-nau ke māthe par ahmarīñ ujālā hai