Masoom Sharqi

dushman ke tanz ko bhi saliqe se Tal de

Masoom Sharqi

1948
dushman ke tanz ko bhī salīqe se Taal de
apne mazāq-e-tab.a kī aisī misāl de
baḳhshe bahār ko jo na shā.istagī kā rañg
aisī har ek shai ko chaman se nikāl de
pichhlī rutoñ ke daaġh to sab maañd paḌ ga.e
ab ke bahār zaḳhm koī lā-zavāl de
maiñ bhī to rāh-rau huuñ tirā rahguzār-e-shauq
thoḌī sī dhuul merī taraf bhī uchhāl de
'ma.asūm' sāf-goī baḌī chiiz hai magar
aisā na ho kahīñ ye musībat meñ Daal de
Top Urdushayar.com