dil hai ki justujū ke sarāboñ meñ qaid hai
varna har ek chehra naqāboñ meñ qaid hai
fursat kahāñ ki DhūñDe ġham-e-dahr kā ilaaj
har shaḳhs apne ġham ke hisāboñ meñ qaid hai
kyā ḳhaak hoñ nasīb yahāñ sar bulandiyāñ
josh-e-amal to aaj kitāboñ meñ qaid hai
tasḳhīr-e-kā.enāt kī mohlat kise yahāñ
har zehn apne jumla hisāboñ meñ qaid hai
suune paḌe haiñ dil ke dar-o-bām in dinoñ
jalvoñ kā ehtimām hijāboñ meñ qaid hai
le de ke bach rahī hai jo tahzīb kī zabāñ
'ma.asūm' vo bhī ālī-janāboñ meñ qaid hai