Shad Bilgavi

hath se hath mila dil se tabiat na mili

Shad Bilgavi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

haath se haath milā dil se tabī.at na milī
aap ke saath mirī ek bhī aadat na milī
zindagī vaqf usī ke liye kar dī nādāñ
ek lamha jise tere liye fursat na milī
aish-o-ārām se kyuuñ kar hameñ miltī taskīn
jab hameñ ġham se ḳhushī rañj se rāhat na milī
us ko insān to kahte hue sharm aatī hai
terī dargah se jise rattī bhī ġhairat na milī
juuñ hī maidān meñ ham taan ke siina nikle
koī aafat koī dukh koī musībat na milī
lutf aatā hai hameñ zulm se Takkar le kar
hashr barpā na huā haa.e qayāmat na milī
kaun ghāTe meñ rahā faisla duniyā degī
jis ko daulat na milī yā jise izzat na milī
laakh bahutoñ kī lagī kuchh kī lagī das das laakh
'shād' ko puurī kisī sher kī qīmat na milī
Top Urdushayar.com