Gul Afshan

ghalat-fahmi hai tumko hum tumhaare to nahin hain

Gul Afshan

Karachi, Sindh, Pakistan

1976
ġhalat-fahmī hai tum ko ham tumhāre to nahīñ haiñ
hamārī aañkh meñ aise ishāre to nahīñ haiñ
hamāre ho to phir aao hamārā saath bhī do
masā.il zindagī ke sab hamāre to nahīñ haiñ
udāsī ko udāsī kyuuñ nahīñ taslīm karte
mirī palkoñ pe aañsū haiñ sitāre to nahīñ haiñ
maiñ bāhar ḳhvāb se aa bhī ga.ī to kyā karūñgī
mirī duniyā meñ kuchh achchhe nazāre to nahīñ haiñ
mahāz-ārā.ī jaarī hai abhī so laḌ rahe haiñ
abhī ham laḌ rahe haiñ jañg haare to nahīñ haiñ
magar ye kaise aalam aa rahe haiñ yaad mujh ko
ki aise roz-o-shab maiñ ne guzāre to nahīñ haiñ
parī kahte ho mujh ko aur kabhī tum huur sāhab
hamāre ḳhāl-o-ḳhad kuchh itne pyāre to nahīñ haiñ
Top Urdushayar.com