zaat meñ karb ho aur karb kā iz.hār na ho
sochtā huuñ kahīñ merā yahī kirdār na ho
mere āñgan meñ khilī dhuup kā asrār hai kyā
uTh ke dekhūñ to sahī vo pas-e-dīvār na ho
jī meñ aatī hai ki ab aise safar par nikleñ
uuñT ham-rāh na ho jeb meñ dīnār na ho
kashtiyāñ kis liye sāhil se bañdhī rahtī haiñ
ho na ho niile samundar meñ koī ġhaar na ho