Prem Kumar Nazar

main nazar se ek andaz-e-nazar hota hua

Prem Kumar Nazar

Hoshiarpur, Punjab, India

1936
maiñ nazar se ek andāz-e-nazar hotā huā
kaun hai din raat mujh meñ be-ḳhabar hotā huā
khultā jaatā hai samundar bādbāñ-dar-bādbāñ
maiñ safar kartā huā mujh se safar hotā huā
ek vus.at āsmāñ-dar-āsmāñ baḌhtī huī
ik parinda bāl-o-par meñ tar-ba-tar hotā huā
ek pahnā.ī makāñ se lā-makāñ hotī huī
ek lamha muḳhtasar se muḳhtasar hotā huā
ek añgḌā.ī se saare shahr ko niiñd aa ga.ī
ye tamāshā maiñ ne dekhā baam par hotā huā
khīñch lī kis ne tanāb-e-ḳhema-e-sidq-o-safā
kaun hai is dasht-e-ġham meñ be-hunar hotā huā
Top Urdushayar.com