vaqt qarīb hai phir manzar ke badalne kā
sūraj kī zid dekho ye nahīñ Dhalne kā
maiñ bhī talāsh-e-āb-e-havas meñ niklā huuñ
shor sunā thā ik chashme ke ubalne kā
ahl-e-junūñ kyuuñ dasht meñ aanā chhoḌ diyā
bhuul ga.e fan nok-e-ḳhār pe chalne kā
sub.h talak is shahr meñ jaane kyā ho jaa.e
rishta DhūñDho rātoñ-rāt nikalne kā
yād-e-yār kā aa jaanā bhī Thiik sahī
raaz magar gahrā hai dil ke machalne kā