har-chand ki thā hijr meñ andesha-e-jāñ bhī
āḳhir ko to ham se hī uThā bār-e-girāñ bhī
ik gosha-e-dar rakkhā hai mahfūz hamārā
is vus.at-e-kaunain meñ ham jaa.eñ jahāñ bhī
ma.adūm bhī huuñ ahl-e-tamāshā kī nazar meñ
bikhrā hai har ik samt magar merā nishāñ bhī
kuchh kam na huā rizq ḳhudā tere gadā par
har chand ki galiyoñ meñ uThā shor-e-sagāñ bhī
kaam aatī hai akasr to yahī ḳhāna-badoshī
rakhne ko to ham shahr meñ rakhte haiñ makāñ bhī
us vaqt ajab hotā hai tarsīl kā aalam
lafzoñ ko taras jaate haiñ jab ahl-e-zabāñ bhī