uuñT sab vāpas phire aage koī sahrā na thā
naqsh-e-pā hī naqsh-e-pā the duur tak rasta na thā
apne andar kitne mausam aur bāhar zardiyāñ
maiñ fasīl-e-jism meñ jab thā to yuuñ phīkā na thā
phir khajūroñ ke daraḳhtoñ meñ dhuāñ sā kis liye
aag jab taapī na thī aur qāfila Thahrā na thā
kāġhzī poshāk meñ vo ghar se jab bāhar gayā
āsmāñ par abr ban kar maiñ abhī barsā na thā
har taraf bikhrī huī reg-e-nadāmat thī 'nazar'
jism kā chaḌhtā huā dariyā magar utrā na thā