Prem Kumar Nazar

ajab dasht-e-hawas ka silsila hai

Prem Kumar Nazar

Hoshiarpur, Punjab, India

1936
ajab dasht-e-havas kā silsila hai
badan āvāz ban kar gūñjtā hai
ki vo dīvār ūñchī ho ga.ī hai
ki merā qad hī chhoTā ho gayā hai
gale tak bhar gayā andhā kuaañ bhī
mirī āvāz par kam boltā hai
maiñ apnī jāma-poshī par pashīmāñ
vo apnī be-libāsī par fidā hai
badan par chyūñTiyāñ sī reñgtī haiñ
ye kaisā khurdurā bistar bichhā hai
vo āñkheñ ho ga.iiñ taqsīm do par
javāb ab aur mushkil ho gayā hai
vo bahte pāniyoñ par naqsh hogā
jo bhīgī ret par likkhā huā hai
paḌhā thā jo kitāb-e-zindagī se
vahī lauh-e-badan par likh diyā hai
Top Urdushayar.com