hai iḳhtiyār meñ tere na mere bas meñ hai
vo ek lamha jo auroñ kī dastaras meñ hai
vo muñh se kuchh nahīñ kahtā ki pesh-o-pas meñ hai
badan kā karb to zāhir nafas nafas meñ hai
agarche shor bahut kūcha-e-havas meñ hai
vo kyā kare ki jo chālīsveñ baras meñ hai
karegā kaun use sāzish-e-badan meñ sharīk
jo shaḳhs qaid abhī ruuh ke qafas meñ hai
uTho ki phir hameñ izn-e-safar mile na mile
abhī to lutf-e-sadā nāla-e-jaras meñ hai
use pasand ki vo TuuT kar girā varna
shajar meñ kyā nahīñ hotā jo ḳhār-o-ḳhas meñ hai