umr bhar shauq kā daftar likkhā
lafz ik bhī na muassar likkhā
ham ne ashraf ko bhī ahqar likkhā
aadmī thā jise bandar likkhā
umr vaise to safar meñ guzrī
likhne baiThe to ise ghar likkhā
mausam-e-gul kī bashārat ma.alūm
paḌh liyā māthe pe patthar likkhā
ḳhaak se ḳhaak huī hai paidā
laakh sahrā ko samundar likkhā
ham vo bīmār haiñ achchhe na hue
tum abas nusḳha mukarrar likkhā
dāstāñ phir bhī mukammal na huī
sab kā sab ham ne to azbar likkhā