ik pal kī dauḌ dhuup meñ aisā thakā badan
maiñ ḳhud to jāgtā huuñ magar so gayā badan
bachcha bhī dekh le to humak kar lapak paḌe
aisī hī ek chiiz hai vo dūdhiyā badan
jī chāhtā hai haath lagā kar bhī dekh leñ
us kā badan qabā hai ki us kī qabā badan
jab se chalā hai tañg qamīsoñ kā ye rivāj
nā-āshnā badan bhī lage āshnā badan
gañgā ke pāniyoñ sā pavitra kaheñ jise
āñkhoñ ke taT pe tairtā hai jo gayā badan
bistar pe tere mere sivā aur kaun hai
mahsūs ho rahā hai koī tīsrā badan
dhartī ne mausamoñ kā asar kar liyā qubūl
rut phir ga.ī to ho gayā us kā harā badan
is ko kahāñ kahāñ se rafū kījiye 'nazar'
behtar yahī hai oḌhiye ab dūsrā badan