Prem Kumar Nazar

ye kya gali hai jahan Darte Darte jate hain

Prem Kumar Nazar

Hoshiarpur, Punjab, India

1936
ye kyā galī hai jahāñ Darte Darte jaate haiñ
guzarte bhī nahīñ lekin guzarte jaate haiñ
bas ab to aglā safar ḳhushkiyoñ kā aatā hai
hamārī raat ke dariyā utarte jaate haiñ
jahāñ meñ kuchh nahīñ hotā kisī ke karne se
ye log phir bhī koī kaam karte jaate haiñ
ye kaisā ham ko ishāra hai paar utarne kā
vo dekho lahroñ meñ kuchh haath ubharte jaate haiñ
tamām shahr to āshob-e-chashm kā hai shikār
na jaane kis ke liye ham sañvarte jaate haiñ
ajab nizām fanā o baqā kā hai ki jahāñ
vo jī uTheñge dobāra jo marte jaate haiñ
bharī haiñ dhund se saare nagar kī dahlīzeñ
nazar meñ jugnū hī jugnū utarte jaate haiñ
Top Urdushayar.com