tabībo chāragaro tum se jo huā so huā
hamāre dam pe bharosā rakho huā so huā
vo apne haal meñ ḳhush hai ham apne haal pe ḳhush
ab is kā zikr na yaaro karo huā so huā
bahut huā to vahī hogā jis kā Dar hai hameñ
jo ho rahā hai vo hone do jo huā so huā
abas hai kasrat-e-kār-e-junūñ bhī aise meñ
azīzo chāk-e-garebāñ siyo huā so huā
koī bhī sūrat-e-ahvāl ko na jānegā
jo dil kī baat hai dil meñ rakho huā so huā
sabā ke bas meñ nahīñ ab payām-e-sub.h-e-visāl
dayār-e-hijr ke zindāniyo huā so huā
kaheñ haiñ reḳhta punjab meñ nazar-sāhib
ba-qadr-e-zauq tum un kī suno huā so huā