Prem Kumar Nazar

ghar se ghar tak ka rasta na mila

Prem Kumar Nazar

Hoshiarpur, Punjab, India

1936
ghar se ghar tak kā rāsta na milā
koī bhī ḳhud meñ jhāñktā na milā
sab ke hamrāh sab ke saa.e the
shahar meñ koī devtā na milā
kitne hoñToñ kā lams yaad rahe
ek bhī naqsh der-pā na milā
raushnī ke safīr lauT ga.e
shahr-dar-shahr rat-jagā na milā
tañg thā zaat kā hisār bahut
koī rasta farār kā na milā
kitne aañsū nichoḌ kar dekhe
kho gayā thā jo qahqaha na milā
ham hī the apne ās-pās 'nazar'
raah meñ koī dūsrā na milā
Top Urdushayar.com