sūraj chaḌhā to dil ko ajab vahm sā huā
dushman jo shab ko maarā thā vo uTh khaḌā huā
bikhrī huī hai ret nadāmat kī zehn meñ
utrā hai jab se jism kā dariyā chaḌhā huā
zulfoñ kī ābshār sirhāne pe gir paḌī
kholā jo us ne raat ko joḌā bañdhā huā
niklā karo pahan ke na yuuñ muḳhtasar libās
paḌh legā koī lauh-e-badan par likhā huā
ik shaḳhs jis se merā ta.āruf nahīñ magar
guzrā hai baar baar mujhe dekhtā huā