aane vaalā inqalāb aayā nahīñ
kyā koī ahl-e-kitāb aayā nahīñ
ism-e-āzam bhī paḌhā hai baar baar
ġhaar se lekin javāb aayā nahīñ
ho rahā hai kuchh na kuchh zer-e-zamīñ
koñpleñ phūTīñ gulāb aayā nahīñ
raat bhar phir hijr kā mausam rahā
jis ko aanā thā vo ḳhvāb aayā nahīñ
ḳhushk-lab lauTe haiñ kyuuñ sahrā-navard
rāste meñ kyā sarāb aayā nahīñ
mujh ko ik chashmak thī sail-e-ashk se
is liye maiñ zer-e-āb aayā nahīñ