ghaḌī ghaḌī na mujhe pūchh ek taaza savāl
udaas raat ke siine pe aur bojh na Daal
khile haiñ phuul suḳhan ke jalī hai sham-e-ḳhayāl
qafas meñ jhāñk ke dekho qafas-zadoñ kā kamāl
usī ke zikr se ham shahr meñ hue bad-nām
vo ek shaḳhs ki jis se hamārī bol na chaal
tire vajūd pe chhā kar tirī nazar se gire
hamīñ ne raaj kiyā thā hamīñ hue kañgāl
bichhaḌ gayā na vo āḳhir adhūrī baat liye
maiñ us se kahtā rahā roz roz baat na Taal
sitamgarī kī na.ī rasm DhūñD lī us ne
hamāre sāmne detā hai dūsroñ kī misāl
kabhī jo baiTh ga.e jā ke do ghaḌī us paas
'nazar'-jī! dhul gayā barsoñ kā jī se huzn-o-malāl