dahan ko zaḳhm zabāñ ko lahū lahū karnā
azīzo sahl nahīñ us kī guftugū karnā
khule darīcho ko taknā to hāo-hū karnā
yahī tamāsha sar-e-shām kū-ba-kū karnā
jo kaam mujh se nahīñ ho sakā vo tū karnā
jahāñ meñ apnā safar misl-e-rañg-o-bū karnā
jahāñ meñ aam haiñ nukta-shanāsiyāñ us kī
tum ek lafz meñ tashrīh-e-ārzū karnā
dil-e-tabāh kī īzā-parastiyāñ ma.alūm
jo dastaras meñ na ho us kī justujū karnā
maiñ us kī zaat se inkār karne vaalā kaun
na ho yaqīñ to mujhe us ke rū-ba-rū karnā
jo harf likhnā use lauh-e-āb par likhnā
jo naqsh karnā sar-e-sat.h-e-ābjū karnā