kuchh na kuchh ahd-e-mohabbat kā nishāñ rah jaa.e
aag bujhtī hai to bujh jaa.e dhuāñ rah jaa.e
dasht-dar-dasht uḌe merā ġhubār-e-hastī
āb-bar-āb mirā nām-o-nishāñ rah jaa.e
muntazir kaun hai kis kā ye use kyā ma.alūm
us kī manzil hai vahī jo bhī jahāñ rah jaa.e
yuuñ to kahne ko bahut kuchh thā ġhazal meñ lekin
lutf kī baat vahī hai jo nihāñ rah jaa.e