Prem Kumar Nazar

KHushk ho jae na jharne wala

Prem Kumar Nazar

Hoshiarpur, Punjab, India

1936
ḳhushk ho jaa.e na jharne vaalā
ab ke tālāb hai bharne vaalā
jism par naam na likhnā apnā
ye hai miTTī meñ utarne vaalā
maar kar dekh liyā hai us ko
ham se martā nahīñ marne vaalā
ab to aahaT bhī nahīñ aatī hai
yuuñ guzartā hai guzarne vaalā
is liye jhiil meñ halchal hai bahut
ik jazīra hai ubharne vaalā
ho rahā hai pas-e-dīvār bhī kuchh
jaane kyā kartā hai karne vaalā
aap hī aap chalātā hai havā
aap hī aap bikharne vaalā
kashtiyāñ paar lageñ yā na lageñ
ab ye dariyā hai utarne vaalā
kaun jā.egā sar-e-koh-e-nidā
shahr kā shahr hai Darne vaalā
Top Urdushayar.com