Tasleem Ilahi Zulfi

jaise kashti aur us par baadban phaile hue

Tasleem Ilahi Zulfi

Shikohabad, Uttar pradesh, India

1947
jaise kashtī aur us par bādbāñ phaile hue
mere sar par is tarah haiñ āsmāñ phaile hue
chal rahe haiñ dhuup se taptī huī saḌkoñ pe log
aur saa.e sā.ebāñ-dar-sā.ebāñ phaile hue
dekhiye kab tak rahe tanhā parinde kī uḌaan
haiñ samundar hī samundar be-karāñ phaile hue
jāgtī āñkhoñ ke ḳhvāb aur tere bāloñ ke gulāb
mere bistar par haiñ ab bhī merī jaañ phaile hue
sāneha ye hai ki ab tak vāqi.a koī nahīñ
tazkire haiñ dāstāñ-dar-dāstāñ phaile hue
maiñ to saarī umr us kī samt hī chaltā rahā
fāsle haiñ phir bhī 'zulfī' darmiyāñ phaile hue
Top Urdushayar.com