Naqqash Kazmi

lamha lamha bit chuka hai ab jo tum pachhtao to kya

Naqqash Kazmi

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1943
lamha lamha biit chukā hai ab jo tum pachhtāo to kyā
bhūlī-bisrī yādeñ sab ke aage bhī doharāo to kyā
kaun parāyā dard sameTe kaun kisī kā yaar bane
apnā zaḳhm hai apnā pyāre logoñ ko dikhlāo to kyā
pahle to tum aag lagā kar sab kuchh jaltā chhoḌ ga.e
dīvāreñ tārīk huī haiñ ab is ghar meñ aao to kyā
us kā chehra us kī āñkheñ us ke lab vo baat kahāñ
rañg-birañgī aḳhbāroñ kī tasvīreñ dikhlāo to kyā
maiñ ik aisā peḌ huuñ jis par baiTh ke sab uḌ jaate haiñ
tum bhī merī shāḳh pe aa kar baiTho aur uḌ jaao to kyā
soch kī dhuup to kyā kam hogī soch kī kirneñ aam huiiñ
raat ke saa.e mere sar ke sūraj par phailāo to kyā
toḌ ke pairoñ kī zanjīreñ maidānoñ kā azm karo
apne garebānoñ ke parcham kamroñ meñ lahrāo to kyā
apne badan ko sūrat aisī nazr-e-salīb-e-zulm karo
sone kī ma.asūm salībeñ sīnoñ par laTkāo to kyā
kyā kyā sher kiye haiñ tum ne naqsh ġhazal kī sūrat meñ
ham tum ko 'naqqāsh' kaheñge tum shā.ir kahlāo to kyā
Top Urdushayar.com