Naqqash Kazmi

TuTa hai aaj abr jo is aan-ban se

Naqqash Kazmi

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1943
TuuTā hai aaj abr jo is ān-bān se
barsegā kal lahū bhī tire āsmān se
ye kis ke dil kī aag se jalte haiñ bām-o-dar
sho.ale se uTh rahe haiñ badan ke makān se
sūraj kī tez dhuup se shāyad amaañ mile
ruktī hai ġham kī dhuup kahīñ sā.ebān se
chehroñ pe gard āñkhoñ meñ nīndeñ fazā ḳhamosh
sustā rahe haiñ log safar kī takān se
hai apnī apnī tāqat-e-parvāz kā kamāl
matlab kisī ko kyā tirī ūñchī uḌaan se
āḳhir chaTaḳh chaTaḳh ke bikharne lagā huuñ maiñ
Takrā gayā thā raat ḳhud apnī chaTān se
phirte haiñ shahr-e-dard meñ jo be-dilī ke saath
'naqqāsh'-kāzmī haiñ vahī naujavān se
Top Urdushayar.com